Tuesday, August 13, 2013

KUCH AUR ASHAAR

Yeh Daur is qadar tezi se raha hai daud
Subah aankh kholi aur palak jhapkte din guzra
-------
Be wajah be chaini si badhney lagi
paani ke barsaney ka jab ilm huwa
-------
Qurbat hai apno ki kabhi furqat aur faasley
Kaise karoon yeh tu bata FURSAT ke faisley
------
Jaari hai jad o jahad jahan ke kaamon mein
Fursat miley to yaar ko mein yaad kar loon.
-------
garmi ka safar bahut suffer karta hai
lekin majboor ho aadmi to sabar karta hai…
-----
Chale namaaz ko sun ke azaan-e-baangi
Bheegi chatri masjid ke bahar taangi
Koodate phandate safon se hum nikal aaye
Dil na laga namaaz mein na dua maangi
--------
DEKH BHAARI SAA LAG RAHA HAI AB AAJ KA DIN
HAMEIN NA YAAD DILA TU APNE MAAZI KI
-----------
Har ek din ki ahmiat bataata yeh deen hai
Amal se banta hai din achcha bhi bura bhi

---------

No comments:

Post a Comment