Kahan se le
ke hai aaye ho ye haseen chehra
Yeh be baaki adaaon
mein aur fitrat bebehra
yeh
khilkhilaati hansi aur khanak lafzon ki
yeh andaaz
munfarid sa us pe lehja thahra
Chandan sa
badan , rang zulfon ka sunehra
Umadhti khushbu badan se jaise baandha sehra
Kiya hai kitno ko pagal banaaye hain majnu kai
Milenge khaak
chaante, jungle, bayabaan, Sahra
Phool se
jhadti teri baton ka asar hota gehra
Sun ke mehzooz na ho jo, woh thahra behra
Kab ye hota
hai ke shakal aur aqal yek ja ho
Rakhey
ho kai khazaane , rehte ho be pehra
Hawa
ruk jaaye, dekh chalna tera lehra lehra
Tujhe wo
khaas hai samjhe , nahin aira ghaira
kashish tujh
mein hai aisi ke sab dekhein tujh ko
Ho jaaye Raat Diwali aur har Din dasehra
No comments:
Post a Comment