Wednesday, April 26, 2023

ZINDAGI

Tishna rahe hamesha teri kashmakash mein hum

Hai Aab 0 Mae se laba lab magar peene nahin deti

      ]

Karte hain roz faaqe rehte hain phate haal

Udh’dey huwe daaman ko tu seene nahin deti

 


Toofaan mein ghire rehte hain shab o roz hum tanha

Saahil tak pohanchne ko safeene nahin deti

 

Kehne ko zindagi hai jeene ka ek amal

Tu kyun kisi ghareeb ko jeene nahin deti

 

Jab aati hai ek roz qaza le kar ke bulaawa

Bas pal hi faqat milta hai Maheene nahin deti.

 

No comments:

Post a Comment