Jab hota hoon tanha mein khud se baatein karta hoon
Mujh ko aisa lagta hai mein tujh se baatein karta hoon
-------------x------------------------------------------------
Zindagi ne hamein laa ke kahan choda hai
Nafratein hain bahut yehan pyaar thoda hai
Chal nikla hai dhoke aur dushmani ka daur
Aaj har shakhs ne qanoon-e-qudrat toda hai
-------x--------
Zindagi veeraan si kyun lagti hai
har dagar sunsaan si kyun lagti hai
Khushiyaan to bahut milti hai magar
yeh mehmaan si kyun lagti hain
-----x--------
Waise to Zindagi pareshaaniyon se ghiri hai
Har waqt ek nayee museebat aa ke khadi hai
Kyon Darr ke phir har pal ko guzaarein apne
Zindagi jiyo aise ke ye lambi nahin badi hai
-----x----

No comments:
Post a Comment