Umr ke is mod pe mustaqbil se be-fikr
Hum dhoond rahe hain maazi apna
——///——///———:////——-
Zindagi deti hai kai baar hamein yeh mauqa
Do raahe pe khade sochein kahan manzil kahan dhoka
——-///———-/////———-::/::
Kal ke liye soch kar har pal hum pareshaan rahe
Woh kal to aaya nahin par oos pal ko ganwa dia
——///———-////—-://:/——
Samandar sa aati huwi yeh lahar
Kabhi de sukun kabhi dhaati qahar
Hai sab cheezon ka ek jaisa asar
Ke ho agar zyada ro ho jaata zahar
—-////——-/::——/::://—/
Achcha bura har Zindagi ke saath huwa hai
Buray din sab ke khatam ho jaayein ye dua hai
—-///—-///——://///
Khud ko aaine mein dekh kar bhi nahin lagta ke main hoon
Log hamein pehchaante nahin ro shikwa kaisa
No comments:
Post a Comment