Wo bhari baarish mein bhi bezaari ki baat kartay hain
Aur hum bezaar hain ke baarish yehan kyon nahin hoti
--------------------------------------
Na kar koi kaam aisa ke khud bhi tu majboor ho jaaye
Na chahatey huway bhi apnon se tu bahut door ho jaaye
----------------------------------------
Rizq ka waada hai uska wo har haal mein dega
Hamaara farz hai itna ke kuch jadojahad kar lein
------------------------------------------
Yeh kaam ke lamhay na fursat deinge
Abhi ek guzraa tha ke doosra aayaa
---------------------------------------------
Shakal apni bigaad li jin ki khwaahishon ke liye
Unko apne sajne sanwarne se fursat hai kahan
------------------------------------------
KEHTAY HAIN KE HAR DAUR MEIN HOTEY HAIN FARISHTAY
HAR DAUR KA MAALOOM NAHIN IS DAUR KE TUM HO
No comments:
Post a Comment