Koi karta nahin mana na koi samjhaaye
Sabhi ki hai yehi koshih ke paisa haath aaye
Yeh kis rang mein ranga hai har ek shakhs yehan
Bhoola akhlaaqi qadrein aur na pachtaaye
Huwa hai paisa kamaana jehan ka maqsad
Bhool baitha hai jawaan bachcha apni hadd
Karein hain kaam sab aise rakhi hai sharm parey
Besharm baney phirtey hain ye sau feesad
Hawas duba ke rakhegi tum sambhal jaao
Aaney waali naslon pe apni taras khaao
Hoga haasil nahin paise se wo jo tum chaaho
khud bhi yeh samjho doosron ko bhi samjhaao
Kahan le jaayega yeh daur kis ko hai pata
Karein gunah lage na ke huwee hai khata
Ho chota ya bada sab hi hain is ke shikaar
Mere Maula is masley ka koi hal hai bata.
No comments:
Post a Comment