Saturday, August 25, 2012

EID MILAAD

Eid milaad thi yeh khayaal aatey aatey aaya ke insaan ke duniya mein aaney ke baad…..




Huway band ek ghalti se darwaaze jis pe jannat ke
Nahin sudhra saza paa ke bhi duniya mein wo aake


Gunaahon ka ye putla ghaltiyaan karta gaya har waqt
Kiya daawa khudayee ka hua zaalim woh kumbakht


Buraayee sab hi apnaayee us ne bhool kar ghalti
Jahannum ko bhi wo bhoola jahan pe aag hai jalti


Guzare san kai par haal is ka bad se hua bad- tar
Na aaya baaz wo karta raha gunah par gunah aksar


Bheja phir is Duniya mein Allah ney pyare Nabi (pbuh) ko
Mila deen sachcha dikhi raah sachchi hum sabhi ko











No comments:

Post a Comment