Class mein kum canteen mein ziyaada rehtay
Hostel mein study kum thi hoti ziyaada sotay
Mili graduation ki degree phir bhi honors mein
Dekho duniyaa mein kasiey hain kamaal hotay
Liye phirtey thay dil apna hatheli par har dum
Jaib mein phirtey thay liye abba ki bheji raqam
Milta mauqa to choupaati ya cinema ka rukh karte
Mil jaatey thay naqad aur agar yeh ho jaatey khatam
Jawaani ka khoon tha phir kaise na hota yeh garam
Ishq 2-3 kar daalay ladkiyaan thi kuch besharam
Hungaama ghar pe hua khadaa jab to sab theek hua
Banday ne phir khaa li sudhar jaaney ki jhooti qasam
Ab yeh haal hai un ka wo mulla se baney phirtey hain
Bhool baithay hain sabhi ishq, ishq biwi se karte hain
Khol rakhi hai doctory ki dukaan masjid ke saamney
Kabhi naadarr thay jo janab, Allah se ab wo darrtey hain.
No comments:
Post a Comment