Rehtay ho garam har waqt lagey dil bhi jaley hai
Petrol bahey ragon mein lage khoon ki jagey hai
Ghar mein gas ka phir mehnga choola kyon jalay
Sar pe rakho jo haandi to khaana muft mein pakay
Kehtay hain ke tabdiliyaan aati hain har ek par
Phir kyon nahin jhadey tumhaarey surkh aab ke par
Bachpan se dekha hai tumhein ek hi mizaaj hai
Mustaqil mizaaji ki misaal tha tu kal waisa hi aaj hai
Apney naam ko kabhi angrezi ka talaffuz tu dey ISMAIL = SMILE
Hansta nahin hai tu to muskrura ke suboot dey
No comments:
Post a Comment