Saturday, June 9, 2012

DARD KA MAUSAM

Bujhi  bujhi  si aankhein meri hoton se muskaan bhi gum hai
Gradish mein hain taare itne achche waqt ke amkaan bhi kum hain

jaane  kab  aur  kaise  aaya  aafton  ka  yeh  lambaa  saaya
Din hai pareshaan raat bhi mushkil har pal jaise gham hai chaaya

Dhadkan hai ke ruk ruk jaaye bojhal aankhein jhuk jhuk jaayein
Ankhein roy khoon ke aansoo dil tadap tadap reh jaaye

Kahan gayee wo hansi humaari kho gayee har khushi hamari
Bhool gaye muskuraana hi hum aisi chot kismat ne maari

Ab lagta hai rootha Rab hai ab lagta hai rootha jag hai
Koi bhi ab sach nazar na aaye lagta hai ke jhoota sab hai

Jeevan ka ab saara ujaala badqismati ne kiya hai kaala
Saare gharon se maang ke dekha sab jaga ab laga hai taala

Koi apni aankhon ki roshni meri aankhon mein bhar de
Apni thodi si muskuraahaton ko ab mere naam kar de

No comments:

Post a Comment