Saturday, June 9, 2012

Sisakte dil se apni khwaahishein woh kehta hai
Mile jo zindagi mein tujhe tera woh rehta hai
Liye bojh apne armaano ka duniya mein aadmi
Justajoo ke dariya mein har roz wo behta hai

Woh phir usko duaaon mein maangta phirtaa hai
Haanton ko phaila kar woh Aasman ko takta hai
Daata deta nahin hai daan mein jo chahaa phir jab
Khwaab dikhlaata hai uska humko khush karta hai

Yeh baat kyon samajh mein hamein nahin aati
Zindagi jo aati hai har cheez saath nahin laati
Likh diya jaata hai har ek muqaddar mein kuch
Aur kuch cheezein hain har taqdeer jo nahin paati

No comments:

Post a Comment