Friday, November 15, 2019

POEM


Zindagi kab sey kab tak teri shanasaaee hai    
yahan zara si  thi wahan badi ruswaaee hai     

Is karb sey guzarna to koyee baat nahi      

Lekin qurb se qabr jaane mein tanhayee hai

 

Kiya qurbatey ragey jaan sey bhi masihaaee hai
Fana honge sabhi, yeh baat tujhe samjhaaee hai
Ye wo aalam hai  jahan apna apne ko na jaane
Roze  mahashar hai aur Aql tamaashaee hai

 

Hairaan o pareshaan hain har taraf buraaee hai
Har banda aish o ishrat paane ka shaidaaee hai
Na Deen ki fikar hai na khauf e khuda in mein
Dunia ka sukh paane ko Aakhirat bhulaaee hai

 

Halal ko  choda  har waqt  Haraam khaaee hai

Na saath jaaegi daulat jo tum ne   kamaaee hai
Jab tauba qabool hoti thi to kyun tum sote rahe
Ab aakhri waqt hai to kyun jaan pe ban aayee hai

No comments:

Post a Comment