Friday, November 15, 2019

Poetry


Wahan pe dhoop thi , yehan pe aa kar chaaon paa li hai
Karo aa kar basera apno sang, yeh gaaon khaali hai
Roti, kapda ,makaan, izzat, pyar sab hai milta yehan  pe
wahan apnapan kahan sachcha, jehan jaao sab jaali hai


-------------------x-----------------x--------------------x------


Is duniya ko bigaada hai hum ne hawas mein
Hum rehte nahin hai khush apne qafas mein
Karte nahin hain baat koi bhi dhang ki
Waqt apna zaaye karte hain fuzool bahas mein


-------------------x-----------------x--------------------x------


Zindagi takleef ki gahdiyon se jab guzarti hai
Shaklein apnon ki bhi ghairon si kabhi lagti hai
Koi takleef mein ho aur dekhne waala hanse
Aisi hansi bhi phir kaanto ki tarah chubhti hai


-------------------x-----------------x--------------------x------
 

No comments:

Post a Comment