Sunday, January 2, 2011

AAJ KA SAMAAJ

Kahan ho tum kahan hai hum kuch khabar hi nahin
Bichi hain laashein bahot ,dafan ko qabar hi nahin
Kyon hua kaise hua deewaangee ka yeh dangaa?
‘”Kursi paane ke liye neta ko hai sabar hi nahin!”


Sabhi raahein hain tedhi seedhi koi dagar hi nahin
Badey samjhaayein bachon ko yeh fikar hi nahin
Kahan kahan se guzar jaaye ga hamaara samaaj
Kehna padey ga jahan mein ab basar hi nahin


Karein hum muqaabala unka woh jigar hi nahin
Kaanpe dushman hamaare paas woh nazar hi nahin
Daal diye sabhi hthiyaar unke aage ab hum ne
Dushmanon ke dilon mein ab hamaara darr hi nahin

No comments:

Post a Comment