Yeh meri aur tumhaari zindagi ka ek kadaa imtihaan hoga
Mein yehan rahoon ga tanhaa wahan door mera jahaan hoga
Kuch faisle naa chahatey huey bhi faasley banaa jaatey hain
Faasley honge magar dil mera tu jahan hai yeh wahaan hoga
dooriyaan hongi door, qurb ka ahsaas jab darmiyaan hoga qurb ka= Qareeb honey ka
Lamha lamha har pal ko tu mere paas yehaan hoga
Qasoor tera hai naa yeh, na koi ki hai ghalti mein nay
Haalat ka taqaaza hai yeh,sawaal naarazgi ka kahaan hoha
Kal ko humaara lakhte jigar badh ke jab jawaan hoga
Khushiyaan hongi haasil hamehin door ghamon ka dhuaan hoga
Guzar jaayeinge yeh din judaaee ke palak jhapaktey hi
Aur phir se shuroo hamaari zindagi kaa sangh sangh carvaan hoga
No comments:
Post a Comment