Bachche kisaan ke rahey bhookay taa umar
Biknay chaley jaate hai phal saarey baagh ke
Zindagi ho chali hai badi be suri si ab
mujh se sun koi dhun,le naach raag pe
kapda na wo pehne ge cheenta jo ho laga
karte nahin hain ghor zameeron ke daagh pe
Chingaari choo lay to nikal jaati hai cheekh
Darta nahin kyon aadmi dozakh ki aag se
No comments:
Post a Comment