Monday, April 18, 2011
TAB AUR AB
Tum ko dekha to ghar yaad aaya Bhool baitha tha wo dar yaad aaya Kitni mushkil se kat-ti hai yeh zindagi Yaad karta na tha magar yaad aaya Sab doston kaa saath choota apnay chootay Pyaari pyaari galiyaan pyaare angnay chootay Kabhi jo khwaab dekhay thay khuli aankhon se Band hain aankhein magar sapnay roothay Pakad kar dil apna hum baith jaatey hain Wo guzray huay din jab yaad aatey hain Pata hai hum ko nahin lot kar woh aayenge Sachaai jaan kar, dil hum bahlaatey hain Ab yeh aadat si hai jab so kar uth-tay hain Kya hai karna aaj , mansooba is ka kartay hain In hi kaamon mein phir din jab beet jaata hai Daray daray se kal ka intezaar kartay hain
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment