Phoolon taaroon ka zikr, bad-e- sabah ka bayan
Khilkhilaata chehra ,Haseen shaam ka aasmaan
Kahan se laaoon apni zindagi mein , mein in ko
Mujhe qaidi bana rakha hai Duniyaa ne yahan
----
Jo chaahu kaam mujh se tum marzi ka apni kara lo
Tabiat mein apni chupa hai ek fann ka behta dariya
Koi pal nahin jaata ke kuch “talash” na ho
Jaane kitney raaz dabaaye baithi hai zindagi
Kehne agar mein jaaon to ginti bhi pade kum
Jaane kitni khoobiyaan liye huway ho tum
TU EK TAKAHLEEQ KHUDA KI …….MUKHTALIF
MUQABLA KYON KAROON MEIN TERA AURON SE
Va’az sunte hain log bhool jaate hain
Ab in mein wo baat kahan jo asar chode
------
Nahin maalum hum ko kaise umr guzri
Palon ka hamein kuch khayal kash hota
---------
Kaise bataaein hum ke ab aaein ge kab
Mustaqbil ki khabar kisi ko nahin hoti
------
Sab kuch badal raha yehan badalna sabhi ko hai
Khaaliq ne is tarah se hai chalaaya nizaam yeh
------
Pukhta imaan mera hai mijh ko fikr ho kya
Mein jaanta nahin hoon ke maayusiyaan hain kya
----
Kya khoob thay wo apne ched chaad waale din
hum bhi chale jaayeinge chod chaad ke ek din
-----
JAANE GE HUM KAB YE BHALA KAISI HAI ZINDAGI
HAR ROZ EK DARS YE NAYA DETI HAI ZINDAGI
----
Jo mein ne kaha un ki samajh mein nahin aaya
Wo kehte nahin par hum sab samajh jaate hain
----
THA TERA HUKM KE TU KEH … KAHA US NE
DIL NA CHAHAA KE KAHE, PAR KAHA US NE
BAAT HI THI KUCH AISI KE AA GAYEE HANSI
SHIKWA KAISA JO LAGAYA QEH QAHA US NE
-------
NAARI KO DIKHAANE HAIN HAZAARON RANG MARZI KE
AADMI KO KUCH AATA NAHIN RONE ,HANSNE KE SIWA
-----
KOI TERI BAAT SE NA HO SAHMAT TO NA SAMAJH APMAAN
US KI SOCH US KI,, APNE NAZARIYE KO SIRF APNA
MAAN
FARQ LAGTA NAHIN DOOR YA PAAS TERE HONE KA
BAS KHUSH KAR DETA HAI AHSAAS TERE HONE KA
----
Zara si der ka hota hai khushee ka pehloo
Qaid kaise karoon is ko yeh pal bhar ko mile
-----
Poochey jo koi duniya mein kya kaam hai mushkil
Sun sun kar ke kadwe bolon ko bhi rishta nibhaana
-----
Poochey jo koi duniya mein khush kyon nahin rehte
Shakl ghoom jaati hai aankhon mein rishtedaaron
ki
Poocha jo us ne Duniya se kya seekha hai tum ne
Angootha uthaa ke apna dikhaana pada un ko
------
NA JAANE KYUN BADH GAYEE UN SE YE DOORIYAAN
JEETAY HAIN HUM MILNEY
KI TAMANNA LIYE HUWAY
------
Kya hain aaj hum aur
kya hum thay kal
Yaade-maazi ban
gaya beeta huwa pal
------
Sab ke apne hain masaayel hain masroof sabhi
Diya mauqa zindagi ne to mil baitheinge kabhi
-------
Daulat aur izzat mein hum ne chuna tha izzat
ko
Aaj kyun badh gayee
daulat ki haisiyat yaaro
-----
Hazaaron sajde bhi kum padenge
Us ki sirf ek rehmat ke bhi aagey
Meri bisaat kya meri auqaat hai kya
Mera kaam hai jhukna bas uske aagey
No comments:
Post a Comment