Saturday, March 1, 2014

NAZM


Qadam badhtey nahin ab thakan ke  maare

Dhundali ho gayeein hain zindgai ki  raahein

 

Saamney sab hokar bhi kuch nahin aata nazar

Dhundlaa gayee hain dekho yeh meri aankhein

 

Dhund fizaaon mein chaa gayee kyon aaj ke din

Khuli hawa mein le rahey thay hum  saansein

 

Dil behlaatay thay jo  dost woh ab gum hain

Dhoond laaye koi tanhaayee mein hum ghabraaein

 

Uff nahin aayega wo waqt laut kar,  jo gaya

Dhuwan jab saamney hai aaye kaise lautaayein

No comments:

Post a Comment