Aao mein karoon zindagi ka apni khulaasa
Rehta tha kabhi gul bhi yeh gulshan mein khila sa
Surat jo zindagi ki zaroorat ne dikhaayee
Jee raha hai zindagi mein liye ek yeh
khal’aa sa.
Aatey hain wohi khat ke jis mein’ jawaab’ ho
warna , koi bhi khud se yehan khat nahin likhta.------------
Pareshaaniyon ne kab ka gala ghont diya
Hai saath doston ka to hum zinda hain
Akelapan jahan mein sab ke muqaddar mein likha hai
Pyar aur dosti na mile zindagi mein to phir khal’aa hai
-------------
Jaagi hai jab se naari mein yeh naari
shakti
Aa gayee in mein hai tab se yeh saari
shakti
Bura haal hai mardon ka kya karein yeh ab
Karein bhi kya ke ab gum huwee saari
shakti.
No comments:
Post a Comment