Saturday, August 6, 2016

Ashaar


Chalni kar diya hai itna ke main toot ke bikhar jaaoonga

Darr hai ke toota gar to phir mein na kabhi jud paaoonga

Yeh ghaao milein hain apno se hans ke diye jo taano mein
Dushmani jo ki kisi apne ne ab agar , to mein mar jaaonnga

---x---
Hum ne to seencha hai chaman auron ka apne khoon se
Kaam aaye hum unke hamesha lagan, mehnat aur junoon se
Kya yehi sila milta hai ab achchaaye ka is duniya mein
Ke hum uth baith bhi sakte nahin apne hi ghar mein sukoon se
---x---


Khusnuma din ho tera khushbaas raaton ka asar niraala
Roshan rahe sooraj tera kare chaand ka basar ujaala

 
---x---
 

Har ek din ki ahmiat bataate hain sabhi deen
Amal se hi banta hai din achcha bhi  bura bhi

 ---x---

Dekh bhaari sa yeh lagne laga hai aaj ka din
Hamein na yaad dila beete dino ki khushiyan

 ----x-----

Chale nasmaaz ko sun ke azan e baangi
Bheegi chatri  Masjid ke bahar taangi
Koodate phandate safon se hum nikal aaye
Dil na laga namaaz mein na dua maangi

 ---x---

Ek kami hai tum mein wo puri zara hoti
Agar par hote tumhaare to apsara hoti

--x--- 

 

Zamaane mein dukhi ho na ho behaal koi
Kahan hai waqt kare jo tera khayal koi
Pooche kaun tera sab ko yehan apni hai padi
Ummeed na rakh na pooche ga tera haal koi

No comments:

Post a Comment