Saturday, August 20, 2016

POEM


Na soch tu kyon is duniya mein aaya hai

Na ghor kar ke tu ne yehan kya paaya hai

Maza le un ghadiyun ka jo mili hain tujhe

Warna har lamha yehan dukhon ka saaya hai.


Har koi yehan kisi na kisi gham ko paale hai

Kisi kaa pet bhara koi gin raha niwaale hai

Guzar rahe hain din sabke bade anokhe se

Kahin zindagi azad kahin zulm ke hawaale hai

Hazaaron saal pehle zindagi mili thi hamein 
Magar wahi husn e sulooq qayam, wohi nafratein
Na aaya  jeene ka saleeqa, ab tak hum ko
Phirte hain dunia mein Ashraf ul makhlooqaat bane

Qayamat ki nishaaniyan suni thein jo bhi
har ek din hai lage aisa ke ye qayamat ho gi
Bure din ab aur kya milenge hamein
Koi insaan bacha nahin hai, hain sabhi rogi









No comments:

Post a Comment