Asaan nahin hoti kabhi kaamyaabi ki dagar
Ismein hai naakaami ka moud uljhano ka safar
Doston ki rukaawat hai dushmano ka dakhal bhi
Hai Rishton ki tambih aur saathiyuon ka zahar
Lekin iraade tumhaare hon pukhta agar
Aur mehnat ko tum banaao apna humsafar
Milegi manzil tumhein hoga safar aasaan
Khuda khud manzil pe le jaayega ban kar rehbar
No comments:
Post a Comment