Mein gul banoon mehkoon jitna rahoon ,aur murjhaaoon
Na kay banoon darakht aisa jahaan ko jo naa mehkaaoon
Wo kiran banoon aur chamak jaaoon bas pal bhar ko
Na kay banoon ujaala aisa jo na pohanche andhere ghar ko
Aur banoon mein aisa taara kuch der ko jo damak jaaye
Na kay banoon aisa saiyyaarah na jis mein chamak aaye
Naa hi waqt mera kharaab ho jo mile wo waqt bana rahe
Mujhe mile khuda aisi zindagi ke baaqi mera nishaan rahe
No comments:
Post a Comment